SMS






Keep Masjid Fragrant 
The Mother of the believers Sayyidatuna Asishah Siddiqah has reported, "The Holy Prophet ordered for the construction of Masjid in neighbourhoods and to maintain them clean and fragrant." (Sunnan Abi Dawud,Vol.1, PP,197 Hadeis 455)


Golden Sayings of HAZRAT ALI (R.A)

Insaan ka apnay Dushman se inteqaam ka sub say acha tariqa ye he k
wo apni khoobiyo’n me izafa karey ‘Hazrat Ali (R.A)

Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, ALLAH k nazdeeq us nayki se behtar
hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye”. ( HAZRAT ALI R.A )

“Bura Dost Aag Ki Manind Hay”
“Agar Jalta Hoga To Aap ko Jala Dega”
“Aur Agar Bujha Hoga To Aap K Hath Kaaley Kar Dega” (HAZRAT ALI (A.A)

Aazmaye Huwe Ko Azmana Bewakufi He. ( HAZRAT ALI R.A )

Apne Dushman Ko 1000 (Hazaar) Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost
Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 (Aik) Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara
Dushman Banay. (HAZRAT ALI (A.A)

Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho. (HAZRAT ALI (A.A)

Jab meri DUA qabool ho tu mein khush hota hu’n kyun k is mein meri
marzi hai aur Jub qabool na ho tu mein aur khush hota hu’n kyun k ye
ALLAH ki marzi hai ( HAZRAT ALI R.A )

IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT aisi cheezai’n hai’n jin k milnay say
log badaltay nahi’n BAYNAQAB hotay hain( HAZRAT ALI R.A )

Agar tum kisi ko chota dekh rahey ho, to tum usay door se dekh rahey
ho, Ya phir ghuroor se dekh rahey ho ( HAZRAT ALI R.A )

ALLAH k nazdeek sab say ziyada guneh gaar cheez jhoot bolnay wali
zuban hay. (HAZRAT ALI R.A)

GULAAB KA PHOOL BANO! KYUN K YEH PHOOL US K HATH MEI BHI
KHUSHBU CHOR DETA HAI JO ISAY MASAL KAR PHAINK DETA
HAI.(HAZRAT ALI R.A)

Apni zuban ki tezi us per mat azmaa’o jis ne tumhe bolna sikhaaya.  ( HAZRAT ALI R.A )

“Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me
Naakaam ho, Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aae huwe
DOST ko ganwa de”( HAZRAT ALI R.A )

“2 cheezein saari zindagi kaam aayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( HAZRAT ALI R.A )

Insaan Bhi kitna Ajeeb hay,
Jab kisi Cheez se Darta hay to us se duur Bhagta hay.
Jab ALLAH se Darta hay to Us k aur Qareeb Ho Jata hay.
( HAZRAT ALI R.A )

“Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaaho’n ki saza foran nahi
deta..” ( HAZRAT ALI R.A )

Kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat dekho, ho
sakta hay us ki sharminda aankhein tumharay dil main ghuroor ka
beej bo dein.( HAZRAT ALI R.A )

“3 kaam kisi k dil mein aap ki izzat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA.”
(HAZRAT ALI R.A)

Achi zindagi guzaarnay k 2 tareeqay hai’n.
1- Jo pasand hain usay haasil kar lo ya Phir
2- Jo hasil hay usay pasand kar lo.
(HAZRAT ALI R.A)




















No comments:

Post a Comment